Hai yaad muLaqaat ki wo shaam abhi tak,
Men tujh ko bhuLaney me hoon nakaam abhi Tak.
..
Aa tujh ko dikhaoon k teray baad sitam-gar,
Weeran parey hen ye dar-o-baam abhi tak.
..
Gar tark-e-ta'aLuq ko howa ik Zamana,
Honton pe machaLta hai tera naam abhi tak.
..
Mehsoos ye hota hai k wo hamse khafa hen,
Kia tark-e-muhabat ka hai iLzaam abhi tak.
..
May-khane main bhooLay se chaLey aaye thay
MOHSIN,
Ahbaab ki nazron main hen badnaam abhi tak.
No comments:
Post a Comment