Tuesday, October 4, 2011

Gazlon Mein tery Pyar ka Charcha na Karen Gaiy

Gazlon mein tere pyar ka charcha na karen ge.

ham tuj ko sar-e-aam youn ruswa na karen ge.

Q ham pa uthen sang-e-malamat ki faseelen.

Behtar he tere shehr mein aaya na karen ge.

ye chand ye taarey ye haseen raat ka aalam.

mansoob tery nam se kya kya na karen ge.

weran howa kasr-e-tamana ka darecha.

Aabaad kabi pyar ki dunya na karen ge.

Har cheez ki chahat men bht nuqsan he Wasi.

shidat sy kise shakhs ko chaha na karen ge...

No comments:

Post a Comment