Sunday, July 27, 2014

Tumhen yaad ho keh na yaad ho...

Wo jo hum mein tum mein qarar tha tumhen yaad ho ke na yaad ho

wohi yani wada nibah ka tumhen yaad ho ke na yaad ho

wo naye gile wo shikayaten wo maze maze ke hikayaten

wo har ek baat pe ruthana tumhen yaad ho ke na yaad ho

koi baat aisi agar hui jo tumhare jee ko buri lagi

to bayan se pahale hi bhulana tumhen yaad ho ke na yaad ho

suno zikr hai kai saal ka, koi wada mujh se tha aap ka

wo nibahane ka to zikr kya, tumhen yaad ho ke na yaad ho

kabhi hum mein tum mein bhi chah thi, kabhi hum se tum se bhi reh thi

kabhi hum bhi tum bhi the aashna, tumhen yaad ho ke na yaad ho

hue ittefaq se gar baham, wo wafa jatane ko dam-ba-dam

gila-e-malamat-e-arqaba, tumhen yaad ho ke na yaad ho

wo jo lutf mujh pe the beshtar, wo karam ke hath mere hath par

mujhe sab hain yaad zara zara, tumhen yaad no ki na yaad ho

kabhi baithe sab hain jo ru-ba-ru to isharaton hi se guftagu

wo bayan shauq ka baramala tumhen yaad ho ki na yaad ho

wo bigadana vasl ke raat ka, wo na manana kisi baat ka

wo nahiin nahi ke har aan ada, tumhen yaad ho ki na yaad ho

jise aap ginte the aashna jise aap kahate the bewafa

main wohi hun “momin”-e-mubtala tumhen yaad ho ke na yaad ho...

No comments:

Post a Comment