Tum
yaad ho to naqsh ho mere khiyaal par
Tum
ashk ho to mere dukhon ka ilaaj ho
Tum
khuwaab ho to meri en aankhon mein ho kahin
Tum
wehum ho to mujko haqeeqat se kia gharaz
Tum
bais e safar ho, hunar ki urraan ho
Tum
neend ho to so k guzaarein gay ye hayaat
Tum
husn ho to mere takhaiuul ki jaan ho
aur,,Tum
raat ho to mujko nhe subah ki talab
Tum
noor ban k dil mein samaye ho aaj kal
Tum
khaak ho to,khaak nashinoo'n ki ho talab
Tum
dard ho to rooh pe chahye ho aaj kal
Tum
dasht ho to main bhi musafir hu dasht ka
Aur,,Tum
chaand ho to talkh andhero'n ki fikar kia
Tum
bay-niyaaz ho to zamanay se ho alag
Tum
rung ho to phir ye baharo'n ka zikar kia
Tum
bay-samar ruto'n mein baharo'n ki ho umeed
Tum
rah-guzaar e shouq mein jazba junoo'n ka ho
Tum
aarzu ho ahl e tamanna ki ho khalish
Tum
ratt-jago'n ki bheerh mein lamha sukoo'n ka ho
Tum
be-wafa rutto'n mein hawala ho ishq ka
Tum
be-basi ho phir bhi muheet e hawaas ho
Tum
ek kiran ho noor e azal mein dhuli hue
Tum
taazgi ho shabnami phoolo'n ki aas ho
Tum
gehray paanio'n mein chupay mootio'n ka lams
Tum
maut k safar mein nishaan e hayat ho
Tum
meri chashm e num k sitaro'n ki kehkashaa'n
Tum
husn e be-misaal ho...meri kainaat ho
Aur,,,Tum jb se ho gaye ho meri dastaras se duur
Main g rha hu kyun k zaroori
hai zindagi
Saanso'n k bhojh ko bhi uthaya
hai rooh ne
Lekin tere baghair adhoori hai
zindagi...............
No comments:
Post a Comment