Iss zameen kay chehray per
zindagi bhee bastee theee
phool jessay cheray thay
aur sitara ankhain theen
soobah muskuratii thee
aur sham hanstee thee
iss zameen kay chehray per
zindgi bhe bastee theee
Sirf aik lamha tha
Bayrehm see aahat thee
phir lhooo ki chadar thee
Maut raqs kertee thee
iss zameen kay chehray per
zindgi bhe bastee theee
Tum nay derd dekha hay?
Dukh say aashna ho tum?
Derd ki azeeat ko Inn ki ankh main dekho
Dukh ki inteha kia hay Inn ki rooh say poocho
Kiss ka nooha likhoun main?
Kiss ko main dilasa doun?
kitnay cheray pather hain
kitnay dil shikasta hain
kitnee behnain bhayoon ki lash lay kay bethee hain
kitnee mayen buchoun ki aass lay kay bethee hain
Zindgi musmar hay aur maut hanstee hay
iss zameen kay chehray per zindgee sisaktee hay
No comments:
Post a Comment