Sunday, February 22, 2009

Zamane beet jatay hain


Kabi nazrein milane mein zamanay beet jatay hain



Kabi nazrein churane mein zamanay beet jatay hain







kisi ne kholi ankh to soonay ki nagri mein



kisi ko gher bananay mein zamanay beet jatay hain







Kabi kali siyah ratain ik pal si lagti hain



kabi ik pal bitanay mein zamanay beet jatay hain







kabi khula ghar ka darwaza tu samnay thi manzil



kabi  manzil kay aanay mein zamanay beet jatay hain







ik pal mein toot jatay hain umer bhar kay rishtay



jinhay banany mein zamanay beet jatay hain