Wednesday, October 28, 2009

Mein Aesi Mohabbat Karta Hon

Naakam nahin nashaad nahin
Main Qais nahin Farhad nahin
Punnon bhi nahin Ranjha bhi nahin
Wamiq bhi nahin Mirza bhi nahin
Wo log tu bas afsaana thay
Is shiddat se baygaana thay
Main zinda ek haqiqat hoon
Sar ta pa jazba-e-ulfat hoon
Main tunko dekh ke jeeta hoon
Har lamha tum pay marta hoon
Main aisi muhabbat karta hoon
Tum kesi muhabbat karti ho?

main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho
tum jahan peh bayth k jati ho
main waheen pe betha rehta hoon
us cheez ko choota rehta hoon
main aisi mohabbt karta hoon



tum jis se huns k milti ho
main us ko dost banata hoon
tum jis rustay par chalti ho
main us say aata jata hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

tum jin ko daykhti rehti ho
wo khuwab....sarhanay rakhta hoon
tum say milnay julnay k
kitnay hi bahanay rakhta hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

tum jahan bhi bayth k jati ho
jis cheez ko hath lagati ho
main waheen peh baytha rehta hoon
us jaga ko choota rehta hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho



kuch khuwab saja kar aankhoon main
palkon say moti chunta hoon
koi lums agar choo jaa a to 
main pehroon us ko sochta hoon
main...aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

jin logon main tum rehti ho
tum jin say batain karti ho
tum jin say huns k milti ho
jo tum ko achay lagtay hoon
wohi mujh ko achy lagtay hain
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho


jis bagh main subh ko jati ho
jis sabzay par tum chalti ho
jo shakh tumhain choo jati hay
jo khushboo...tum ko bhati hay
wo os tumharay chehray par
jo qatra qatra girti hai
wo titli chor k phoolon ko
jo tum say milnay aati hai
jo tum ko choonay aati hay
un sab k nazuk jazbon main
meray dil ki dharkan basti hai
miri rooh bhi shamil rehti hai
tum paas raho ya door raho
nazron main samai rehti ho
main tum ko takta rehta hoon
main tum ko sochta rehta hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

jis college main tum parhti ho
jis class main bhi tum jati ho
jis kursi peh tum baythti ho
jab class wo khali hoti hai
main ja k us main baythta hoon
us kursi ko main choota hoon
gadla sa ik tissue paper
jo tum nay class main choora tha
main pyar say us ko choota hoon
main us ko...purse main rakhta hoon
wo copy jis main lecture k tum
points likhti rehti ho
her moqay par her manzar main
main sath tumharay rehta hoon
main chashm-e-tasavvur main aksar
bus tum ko dekhta rehta hoon
bus tum ko sochta rehta hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho 



LARKI KA JAWAB

sherein bhi nahin , lelaa bhi nahin
main heeer nahin , azra bhi nahin
wo qissa hain afsanaa hain
wo geet han prem tarana hain
MAIN zinda aik haqeeqat hun
Main juzba-e-ishq ki shiddat hun
main tumko dekh k jeeti hun
main her pal tum pe merti hon
main aesi muhabat kerti hun
tum kaisi muhabat kertey ho?

jub haath dua ko uthtay hain
alfaaz kahin khoo jatay hain
bus dehaan tumhara rehta hai
aur ansoo behtay rehtey hain
her khowab tumhara pora ho
is Rub ki minnat kerti hun
main aesi muhabat kerti hon
tum kaisi muhabat kertey ho?

mujhay thundak raas nahin aati
mujhay barish se khauf aata hai
per jis din se maloom huaa
ye mosum tumko bhaataa hai
ab jub bhi sawan aataa hai
baarish mein bheegtii rehti hon
qatroon mein tumhi ko dhondti hun
bondoon se tumhara pochtii hun
main aesi muhabat kerti hun
tum kaisi muhabat kertey ho?


tum jab bhi ghar par aatay ho
aur sab say batain kartay ho
main aut say parday ki janan 
bus tum ko dekhti rehti hoon
ik tum ko dekhnay ki khatir
main kitni pagal hoti hoon 
main aisi mohabat karti hoon 
tum kaisi mohabbat kartay ho


jab darwazay par dastak ho 
ya ghanti phone ki bajti ho
main chor k sab kuch bhagti hoon 
aur tum ko jo na paoon to
ji bhar k ronay lagti hoon
main aisi mohabbat karti hoon
tum kaisi mohabbat kartay ho


mehfil main kaheen bhi jana ho
kapron ka selection karna ho 
rang bohat say samnay bikhray hoon 
us rang pe dil aa jata hai
jo rang k tum ko bhata hai
main aisi mohabbat karti hoon
tum kaisi mohabbat kartay ho

 
rozana apnay college main
kisi aur ka lecture suntay hoay 
ya break k khali ghantay main
sakhyoon say batain kartay hoay
meray dhiyan main tum aa jatay ho 
mein, main nahin rehti
phir janan main tum main gum ho jati hoon
bus khuwabon main kho jati hoon 
un aankhon main kho jati hoon
main aisi mohabbat karti hoon 
tum kaisi mohabbat kartay ho


jis chehray par bhi nigha paray 
her chehra tum sa lagta hai 
wo sham ho ya ke dhop samay
sab kitna bhala sa lagta hai 
janay ye kaisa nasha hai garmi ka
tapta mosam bhi jaray ka maheena lagta hai 
main aisi mohabbat karti hoon 
tum kaisi mohabbat kartay ho


tum jab bhi samnay aatay ho 
main tum say sunn na chahti hoon
kash kabhi tum ye keh do 
tum mujh say mohabbat kartay ho 
tum mujh ko bohat hi chahtay ho 
lekin janay tum kyun chup ho 
yeh soch k dil ghabrata hai
aisa to nahin hai na jana sirf meri nazar ka dhoka ho
tum nay mujh ko chaha hi na ho 
koi aur hi dil main rehta ho 
main tum say poochna chahti hoon 
main tum say kehna chahti hoon 
lekin kuch pooch nahin sakti mana ke mohabbat hai
phir bhi lab apnay khol nahin sakti 
main larki hoon kaisay keh doon 
main kaisi mohabat karti hoon 
main tum say ye kaisay pochoon
tum kaisi mohabbat kartay ho
chup chap see main...ho jati hoon 
phir dil main apnay kehti hoon 
main aisi mohabbat karti hoon 
tum kaisi mohabbat kartay ho



Poet: Khalil Ullah Farooqi
Book : Muhabat khushguman hai