Sunday, November 30, 2008

Chalo ek baar phir say ajnabi ho ja'ain hum dono











Chalo ek baar phir say ajnabi ho ja'ain hum dono


Chalo ek baar phir say ajnabi ho ja'ain hum dono

na main tum say koi umeed rakhoon dil nawazi kee


na tum meri taraf daikho ghalat andaaz nazron say


na meray dil kee dharkan larkharaey meri baaton say


na zaahir ho tumhari kash-ma-kash ka raaz nazron say


tumhain jo koi uljhan roktii hai paish qadmi say


mujhey bhi log kehtay hain kay yeh jalway paraey hain


meray humrah bhi ruswa'eeyan hain meray maazi kee


tumharay saath bhi guzree hu'ee raaton kay sa'ay hain


ta'aruff rog ho ja'ay tau usska bhoolna behtar


ta'alluq bojh bun ja'ay tau usska torna acha


woh afsaana jissay anjaam tak lana na ho mumkin


ussay ek khoobsoorat mor day kar chorna acha




chalo ek baar phir say ajnabi ho ja'ain hum dono...


No comments:

Post a Comment