nahin manga koi bhi tere siwa !!
mere dost
mere hum-nasheen
meine rab say manga to kuch nahin
meine jab bhi mangi koi dua
nahi manga kuch bhi tere siwa
ye talab kiya k mera khuda
sabhi rahatein
sabhi chahtein
vo ata karay tujhe manzilein
ye talab kiya k mera khuda
tujhe bakht day
tujhe taaaj day
tujhe takht day
nahi aur kuch bhi tere siwa
meri dosti
meri zindagi
meri khamoshi
meri bebasi
mera ilm bhi
mera naam bhi
k meri subah
k meri shaam bhi
k jo mil sakein mere daam bhi
vo sabhi kuch tujhe ata karay
mere charagar tu yaqeen to ker
mujhe mangna to naa aa saka
meine phir bhi mangi yehi dua
k gawahi day ga mera khuda
meine jab bhi uss say talab kiya
nahin manga koi bhi tere siwa !!
mere hum-nasheen
meine rab say manga to kuch nahin
meine jab bhi mangi koi dua
nahi manga kuch bhi tere siwa
ye talab kiya k mera khuda
sabhi rahatein
sabhi chahtein
vo ata karay tujhe manzilein
ye talab kiya k mera khuda
tujhe bakht day
tujhe taaaj day
tujhe takht day
nahi aur kuch bhi tere siwa
meri dosti
meri zindagi
meri khamoshi
meri bebasi
mera ilm bhi
mera naam bhi
k meri subah
k meri shaam bhi
k jo mil sakein mere daam bhi
vo sabhi kuch tujhe ata karay
mere charagar tu yaqeen to ker
mujhe mangna to naa aa saka
meine phir bhi mangi yehi dua
k gawahi day ga mera khuda
meine jab bhi uss say talab kiya
nahin manga koi bhi tere siwa !!
No comments:
Post a Comment